Urdu Romantic Poetry For Him Biography
Source Link : Google.com.pk
Wasi Shah Poetry
Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..
Us ka tu her andaaz
Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai
Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye hai apna sa lagay hai
hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai
mein us ki her aik baat ko kis terha na manoo
wo jhoot bhi bolay hai tow sachcha sa lagay hai
aik umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi kal ka sa lagay hai
itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai
Wo laakh rutton ka
Wo laakh rutton ka laakh bagh’on ka tanha gulaab
Mein kia likhoon sanam hai mera lajawaab
Uska zikr hamari zuban se youn hota hai
Jaisy ho wo sataaes’ween raat ka sawab
Chaand ki chandni suraj ki roshni madham parr jati
Jab wo hataye apny chehray se naqaab
Ae mery mola usey pura kar de
Mera tou hai bhi bus aik hi khuwab . .
Teri Awaaz
Ek Tu Teri Awaaz Yaad AyegiP
Teri Kahi Hui Har Baat Yaad AyegiP
Din Dhal Jayega Raat Yaad AyegiP
Har Lamha Pehli Mulaqaat Yaad Aayegi..P
Tum Jo Hastey Ho
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho
Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho
Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho
Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho
Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho
No comments:
Post a Comment