Famous Romantic Poetry Biography
Source Link : Google.com.pk
Aatish Haider Ali Shayri..............
Tarapate Hain Na Rote Hain Na Ham Fariyaad Karate Hain
Sanam Kii Yaad Main Har Dam Khudaa Ko Yaad Karate Hain
Unhiin Ke Ishq Main Ham Naalaa-O-Fariyaad Karate Hain
Ilaahii Dekhiye Kis Din Hamain Vo Yaad Karate Hain
Shab-E-Furqat Main Kyaa Kyaa Saanp Laharaate Hain Siine Par
Tumhaarii Kaakul-E-Pechaan Ko Jab Ham Yaad Karate Hain
Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua..............
Dard Minnat Kashe-Dawa Na Hua
Main Na Acha Hua, Bura Na Hua
Jama Karte Ho Kyon Raqibon Ko
Ik Tamasha Hua Gila Na Hua
Ham Kahan Qismat Azmane Jayen
Tu Hi Jab Khanjar Azma Na Hua
Kitne Shirin Hain Tere Lab K Raqib
Galiyan Khak Bemaza Na Hua
Apne Ahsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do..............
Apne Ahsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Main Sadiyon Se Idhoora Ho Mukamal Kar Do
Na Tumhe Hoosh Raha Na Mujhe Hoosh Raha
Iss Qader Toot Ker Chaho Ki Mujhay Pagal Kar Do
Tum Hathali Ko Mara Pyaar Ki Mehndi Say Rang Do
Apni Ankhon Main Mara Naam Ka Kajal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hon Main Iss Tarha Too Kar Bersoo Mujh Per
Main To Sehra Ho Mujhay Pyaar Ka Badal Kar Do
Iss K Saya Main Mara Khawab Mahek Jayin Ga
Mare Chehray Per Umeddon Ka Anchal Kar Do
Kaash Mein Tere Haseen ...............
Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath
Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein
Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata
Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata
Subh-E-Zindagii Se by Amjad Islam............
Iss Subh-E-Zindagii Se Sanaashaa Nahiin Huun Main
Lagataa Yehii Hai Niind Se Jaagaa Nahiin Huun Main
Ik Harf-E-Raaygaan Sahii, Yaaro, Mira Vajuud
Kaise Kahuun Kitaab Kaa Hissaa Nahiin Huun Main
Darpesh Subh-O-Shaam Hai, Ye Kaisii Kash-Ma-Kash
Kaise Banuun Main Uss Kaa, K Apnaa Nahiin Huun Main
Booltey Rangoon Main.............
Jo Baat Nahi Kartey
Un Booltey Rangoon Main
Mainey Tumhey Socha Hai!
Jo Dil Sey Guzertey Hain
Un Ajnabi Rastoon Main
Mainey Tumhey Dekha Hai!
Kahney Key Ley Tum Sey,
Baatien Tu Bohat Si Hain
Alfaz Nahi Miltey!
Jo Meri Nazar Main Hain
Is Saher Key Bagoon Main
Woh Phool Nahi Kihltey!
Mainey Tumhey Jana Hai
Azhar Key Rishtoon Sey
Jis Tarha Koii Bandha
Darhti Par Nazar Daley
Ek Baar Khuda Ho Key!
Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men..........
Khwaabon Ki Dekh-Bhaal Men Aankhen Ujar Gayii
Tanhaa`Iiyon Ki Dhuup Ne Chehraa Jalaa Diyaa
Lafzon Ke Jorne Men Ibaadat Bikhar Chalii
Aa`Iine Dhuundne Men Ka`Ii Aks Kho Gaye
Aaye Na Phir Wo Laut Ke Ik Baar Jo Gaye
No comments:
Post a Comment